GURU AARTI
VED BHAGWAN AARTI
VED MAHIMA
SADGURU PRABHAT BHAJANAM
GURU AARTI
VED BHAGWAN AARTI
VED MAHIMA
SADGURU PRABHAT BHAJANAM
Om Jai Guru Brahmagyani, Swami jai Guru Brahmagyani,
Sur nar Munijan sevit- 2, Dhyan dharat dhyani,
Om jai Guru..
Brahma Vishnu Sadashiv Bhole Gurumurati mani,
Om jai Guru…..
Shesh Sharada sevit Vedvidit Vaani,
Om jai Guru….
Jivan maran mitao Apana jan mani,
Om jai Guru…
Deendayalu data Sab sukh ki khani,
Om jai Guru…
Bhedabhed mitao ur ekata aani,
Om jai Guru…
Guruji ke Aarti gaave, Sadguruji ki Aarti gave
Nishidin jo Prani,
Om jai Guru….
Ant Param-Pad paave-2, Nirbhay Nirvani,
Om Jai Guru Brahmagyani, Swami jai Guru
Brahmagyani.
“Gurur Brahma, Gurur Vishnu, Gurur Devo Maheshwara,
Gurur Saakshat , Par Brahm, Tasmayi Shri Gurudev Namah”
Om jai Prabhu Ved hare, Swami jai Prabhu Ved hare,
Ishwar ki hai Vaani -2, Brahma Path kare
Om jai Prabhu….
Darshan se bhay naashe agannit Vighn hare- 2,
Dhukh jaave Sukh aave jo Koi Ved padhe.
Om jai Prabhu..
Shraddha se jo Shravan kare nar rahe bhandar bhare-2,
Riddhi-Siddhi Sukh Sampatti purann Ved kare
Om jai Prabhu…
Rig Yaju Saam Atharvan Vaidik naam khare-2,
Chaar padarth pave-2 , Jo jan dhyan dhare
Om jai Prabhu.
Sabako sab Sukh aave Bhog moksh sagare-2,
Gyan Vigyan Japadik Mangal mod bhare
Om jai Prabhu.
Hove havan nirantar Patha Akhanda dhare-2,
Laxmi vasa Ghar mein, Hari hit daan kare
Om jai Prabhu..
Bhakt jano ne Saji Aarti Sant ardas kare-2,
Shrotagan Sukh pave “Soham” Dhyan Dhare
Om jai Prabhu…
Vedon ki yeh saral Aarti jo koi kanth kare,
Yogeshwar Gangeshwar Sarwanand kare
Om jai Prabhu Ved hare, Swami jai Prabhu Ved hare.
“VISHW MEIN VIKHYAAT HAI VISHVESHWAR VAANI VED,
‘SOHAM’ BIKHARE VISHWA MEIN HARE VISHWA KE KHED”.
Amrit Roopi Vaani Chaaron Vedon ki,
Rasta to RigVed batave,
Jo koi uske Raaste jaave,
Paave padh nirvaani Chaaron Vedon ki,
Amrit Roopi Vaani Chaaron Vedon ki. (1)
YajurVed ka jo yash gaave,
Uska Yash Triloki gaave,
Howe Amar Kahani Chaaron Vedon ki,
Amrit Roopi Vaani Chaaron Vedon ki. (2)
SaamVed sabko samjhaave,
Jo koi usko saswar gaave,
Ban jaaye poora Dhyani Chaaron Vedon ki,
Amrit Roopi Vaani Chaaron Vedon ki. (3)
Atharva Ved mein sab ka Gyaan,
Jo koi gyaan le Insaan,
Howe Puran gyaani, chaaron Vedon ki,
Amrit Roopi Vaani Chaaron Vedon ki. (4)
Darshan kare VED ka joi,
Uska paap rahe na koi,
Nit Sukh pave praani chaaron Vedon ki,
Amrit Roopi Vaani Chaaron Vedon ki, (5)
Shravan Manan VED ka dhyan,
Athvaa kare Ved ka Gaan,
Mit jaye aavann jaani Chaaron Vedon ki,
Amrit Roopi Vaani Charon Vedon ki, (6)
Sarv Vishwa ka hai yeh VED,
Is mein nahi koi bhed,
Soham baat bakhani chaaron Vedon ki,
Amrit Roopi Vaani Chaaron Vedon ki (7)
VED BHAGWAN KI JAI..
SATGURUDEV BHAGWAN KI JAI.
SHRICHANDRA BHAGWAN KI JAI..
BANKE BIHARILAL KI JAI.
MORMUKUT BANSIWALE KI JAI….
GAU MATA KI JAI.
BHARAT MATA KI JAI..
SAB SANTON KI JAI.
AAJ KE ANAND KI JAI.
eeeeeeeeeeeeeeeeeee
Satguru mere aaye hain,
Khabar Brahm ki laye hain.
Vedon ke ye Gyaata hain,
Bade Dayalu Datta hain.
Satguru mere aaye hain….
Sharan mein jo bhi aate hain,
Uska dukh mitatte hain.
Anand Amrit laatte hain,
Baant baant ke khatte hain.
Satguru mere aaye hain….
Alakh ka naam sunate hain,
Khalak ka Moh mitaatte hain.
Maange sab ko dette hain,
Keemat kuch nahin lette hain.
Satguru mere aaye hain….
Prem ka Rang chadhatte hain,
Aatma roop dikhatte hain.
Aise Satguru aaye hain,
Mere mann mein bhaye hain.
Satguru mere aaye hain…
Janam Janam ke Panth ko pahunch ke aaye hain,
Smaran pahej ke Satguru.
Satguru mere aaye hain….
Deena Bandhu Deena Nath,
Meri Dori tere Haath. II 4 II
RADHE RADHE SHYAM MILA DE.
SITA SITA RAM. II 4 II
Radheji ke Shyam hain to,
Sitaji ke RAM.
Hamare to SATGURU Chaaron hi Dham,
Hamare to SATGURU Chaaron hi Dham. II 4 II
JAI VED JAI VED
JAI JAI VED.
JAI RIGVED JAI JAI RIGVED.
JAI VED JAI VED
JAI JAI VED. II 2 II
JAI YAJUR VED JAI JAI YAJUR VED,
JAI VED JAI VED
JAI JAI VED . II 2 II
JAI SAAM VED JAI JAI SAAM VED,
JAI VED JAI VED
JAI JAI VED. II 2 II
JAI ATHARV VED JAI JAI ATHARV VED,
JAI VED JAI VED
JAI JAI VED II 2 II
JAI GURUDEV JAI JAI GURUDEV II 2 II
Jinke Kirpadrishti se tatkaal sab Paapon ka naash ho jaata hai!
Jinke aadhe shann ke bhi satsang se apoorva anand milta hai!
Aur Jinke dhyaan matra se trivid santaap nasht ho jaate hain!!
Main un PARAM GURU SWAMI GANGESHWARANANDJI
MAHARAJ ka praatah Bhajan karta hoon. ( 1 )
Jinke Hriday mein sadaa dayaa aur udaarataa ka bhav rahta hai!
Mukh kamal se madhurataa jhalakti hai!
Lalaat par badaa tej pratit hotaa hai aur Jinka Dubla Patla Sharir
Utkrist tapasya ko prakat karta hai,
Main un PARAM GURU SWAMI GANGESHWARANANDJI
MAHARAJ ka praatah Bhajan karta hoon. ( 2 )
Jinhone apni Baal Avastha mein hi tapobal ke prabhav se
hridhay mein virajit Brijeshwar SHREE KRISHNA ke pratyaksh
mein Darshan karke Charm Chakshuon ke sthaan par divya jyoti prapt ki hai, aur saath hi jinko apoorva Vaaksiddhi bhi mil gayi hai,
Main un PARAM GURU SWAMI GANGESHWARANANDJI
MAHARAJ ka praatah Bhajan karta hoon. ( 3 )
Jo apni Vaani se bhakton ke hridhya-andhkaar ko door karte hain!
Jinke Vyakhyaan ko sunane se sansaar ka bhaya nasht hota hai!
Aur jinki jeehva sadaa Bhagwan ka naam hi ratatti hai!
Main un PARAM GURU SWAMI GANGESHWARANANDJI
MAHARAJ ka praatah Bhajan karta hoon. ( 4 )
Jo praatah kaal Ved Mantron ki Dhwaniyon se Paap nasht kar dete hain!
Aur Saayan Kaal Shastron ka Pravachan Amrit Ras pilate hain!!
Tatha jo Sadaa hi BHAGWAN SHRICHANDRA Muniraj ka
Smaran karte rehte hain,
Main un PARAM GURU SWAMI GANGESHWARANANDJI
MAHARAJ ka praatah Bhajan karta hoon. ( 5 )
Jin par Vipatiyon ki pidaa ki agnee ka thoda bhi prabhav nahin
Padta aur na jin mein kisi par Dosh_Aaropan karne ki hi
Pravriti hai, aur na kisi ke saath Dwesh-drishti ki bhavna hai!
Balki yeh Indriyon ka daman karnewale hain, Kshamaa Sheel hain
Aur jinke man mein sadaa Chir-Shanti bani rahti hai!
Main un PARAM GURU SWAMI GANGESHWARANANDJI
MAHARAJ ka praatah Dhyaan karta hoon. ( 6 )
Jinke hriday mein sadaa Vedant ke saath Charon VED niwas
Karte hain aur jinke Vidhatta Brahaspati ke samaan prasid hain!
Tathaa jinki Vaani harigun hi hamesha gaati rehti hai!
Main un PARAM GURU SWAMI GANGESHWARANANDJI
MAHARAJ ka praatah Dhyaan karta hoon. ( 7 )
Jinhone Vedon ka padd padd par Shri Krishna sambandhit naya
Arth nikaal kar jagat mein adbhut kaam kar dalaa hai!
Un Paap Vinashak nirmal hridaywale,
SHREE Swami Gangeshwaranandji Maharaj Udasin ka main
Praatah Dhyaan Karta hoon. ( 8 )
Jo Vyakti Praatah-Kaal aur Saayan-Kaal Bhakhti purvak is
Gangeshwar_Ashtak Stotra ka path kare ya ise sune woh
SATGURU ki kripa se mano-vaanchhit fal prapt karta hai.
Kyonki yeh stav-raaj to kalp-virksh ki tarah iccha poorti
Karne wala hai!! ( 9 )
Ved Moorthi Shri Swami Gangeshwaranandji Maharaj ke is
Kabhi nishfal na honewale sunder stotra ki rachna karke
Jaipur nagar niwasi yeh Nawalkishor Kankar haath jodkar
Unki stutti kar raha hai. ( 10 )
Jinke kripa se maine is stotra ki rachna ki hai
Ve Anand-kand Bhagwan Govind hum par sadaa hi kripalu
Bane rahain!! ( 11 )
–Shri Acharya Nawal Kishor Kankad rachit.
Follow us on