Bhajan
 
   

SHRI SADGURU PRABHAT BHAJANAM

 


Jinke Kirpadrishti se tatkaal sab Paapon ka naash ho jaata hai!
Jinke aadhe shann ke bhi satsang se apoorva anand milta hai!

Aur Jinke dhyaan matra se trivid santaap nasht ho jaate hain!!
Main un PARAM GURU SWAMI GANGESHWARANANDJI
MAHARAJ ka praatah Bhajan karta hoon. ( 1 )


Jinke Hriday mein sadaa dayaa aur udaarataa ka bhav rahta hai!
Mukh kamal se madhurataa jhalakti hai!
Lalaat par badaa tej pratit hotaa hai aur Jinka Dubla Patla Sharir
Utkrist tapasya ko prakat karta hai,

Main un PARAM GURU SWAMI GANGESHWARANANDJI
MAHARAJ ka praatah Bhajan karta hoon. ( 2 )

Jinhone apni Baal Avastha mein hi tapobal ke prabhav se
hridhay mein virajit Brijeshwar SHREE KRISHNA ke pratyaksh
mein Darshan karke Charm Chakshuon ke sthaan par divya jyoti prapt ki hai, aur saath hi jinko apoorva Vaaksiddhi bhi mil gayi hai,

Main un PARAM GURU SWAMI GANGESHWARANANDJI
MAHARAJ ka praatah Bhajan karta hoon. ( 3 )


Jo apni Vaani se bhakton ke hridhya-andhkaar ko door karte hain!
Jinke Vyakhyaan ko sunane se sansaar ka bhaya nasht hota hai!
Aur jinki jeehva sadaa Bhagwan ka naam hi ratatti hai!

Main un PARAM GURU SWAMI GANGESHWARANANDJI
MAHARAJ ka praatah Bhajan karta hoon. ( 4 )

Jo praatah kaal Ved Mantron ki Dhwaniyon se Paap nasht kar dete hain!
Aur Saayan Kaal Shastron ka Pravachan Amrit Ras pilate hain!!
Tatha jo Sadaa hi BHAGWAN SHRICHANDRA Muniraj ka
Smaran karte rehte hain,

Main un PARAM GURU SWAMI GANGESHWARANANDJI
MAHARAJ ka praatah Bhajan karta hoon. ( 5 )

Jin par Vipatiyon ki pidaa ki agnee ka thoda bhi prabhav nahin
Padta aur na jin mein kisi par Dosh_Aaropan karne ki hi
Pravriti hai, aur na kisi ke saath Dwesh-drishti ki bhavna hai!
Balki yeh Indriyon ka daman karnewale hain, Kshamaa Sheel hain
Aur jinke man mein sadaa Chir-Shanti bani rahti hai!

Main un PARAM GURU SWAMI GANGESHWARANANDJI
MAHARAJ ka praatah Dhyaan karta hoon. ( 6 )

Jinke hriday mein sadaa Vedant ke saath Charon VED niwas
Karte hain aur jinke Vidhatta Brahaspati ke samaan prasid hain!
Tathaa jinki Vaani harigun hi hamesha gaati rehti hai!

Main un PARAM GURU SWAMI GANGESHWARANANDJI
MAHARAJ ka praatah Dhyaan karta hoon. ( 7 )


Jinhone Vedon ka padd padd par Shri Krishna sambandhit naya
Arth nikaal kar jagat mein adbhut kaam kar dalaa hai!
Un Paap Vinashak nirmal hridaywale,

SHREE Swami Gangeshwaranandji Maharaj Udasin ka main
Praatah Dhyaan Karta hoon. ( 8 )


Jo Vyakti Praatah-Kaal aur Saayan-Kaal Bhakhti purvak is
Gangeshwar_Ashtak Stotra ka path kare ya ise sune woh
SATGURU ki kripa se mano-vaanchhit fal prapt karta hai.
Kyonki yeh stav-raaj to kalp-virksh ki tarah iccha poorti
Karne wala hai!! ( 9 )


Ved Moorthi Shri Swami Gangeshwaranandji Maharaj ke is
Kabhi nishfal na honewale sunder stotra ki rachna karke
Jaipur nagar niwasi yeh Nawalkishor Kankar haath jodkar
Unki stutti kar raha hai. ( 10 )

Jinke kripa se maine is stotra ki rachna ki hai
Ve Anand-kand Bhagwan Govind hum par sadaa hi kripalu
Bane rahain!! ( 11 )


--Shri Acharya Nawal Kishor Kankad rachit.