Ved Bhagwan Ki Aarti
Om jai Prabhu Ved hare, Swami jai Prabhu Ved hare, Ishwar ki hai Vaani -2, Brahma Path kare Om jai Prabhu....
Darshan se bhay naashe agannit Vighn hare- 2, Dhukh jaave Sukh aave jo Koi Ved padhe. Om jai Prabhu..
Shraddha se jo Shravan kare nar rahe bhandar bhare-2, Riddhi-Siddhi Sukh Sampatti purann Ved kare Om jai Prabhu...
Rig Yaju Saam Atharvan Vaidik naam khare-2, Chaar padarth pave-2 , Jo jan dhyan dhare Om jai Prabhu.
Sabako sab Sukh aave Bhog moksh sagare-2, Gyan Vigyan Japadik Mangal mod bhare Om jai Prabhu.
Hove havan nirantar Patha Akhanda dhare-2, Laxmi vasa Ghar mein, Hari hit daan kare Om jai Prabhu..
Bhakt jano ne Saji Aarti Sant ardas kare-2, Shrotagan Sukh pave "Soham" Dhyan Dhare Om jai Prabhu...
Vedon ki yeh saral Aarti jo koi kanth kare, Yogeshwar Gangeshwar Sarwanand kare Om jai Prabhu Ved hare, Swami jai Prabhu Ved hare.
"VISHW MEIN VIKHYAAT HAI VISHVESHWAR VAANI VED, 'SOHAM' BIKHARE VISHWA MEIN HARE VISHWA KE KHED".